akhil hone se Pehle Aap ﷺ ne gusl bhi farmaya tha ,Aap ﷺ ne Shoeb Abi Taalib ke Muqaam per qayaam farmaya, Ye Wohi ghaanti thi ,Jisme Quresh ne Aap ﷺ ko teen Saal tak rehne per majboor Kar diya tha...aur Wo teen Saal Musalmano ke liye intehayi Dukh aur Dard ke Saal they , Jab Huzoor Akram ﷺ Shehar me dakhil hue aur Makka ke Makanaat per Nazar padi to Allah ki Hamd v Sana Bayan ki ,
Makka me Huzoor Akram ﷺ Peer ke din dakhil hue ..Jab Aap ﷺ ne Makka se Hijrat ki thi, Wo bhi Peer Ka din tha ,
★_ Aakhir Huzoor Akram ﷺ Haram me dakhil hue ...Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Aap ﷺ ke barabar chal rahe they..aur Aap ﷺ unse baate Kar rahe they.Fir Aap ﷺ Baitullah me dakhil hue aur Apni ountni per Bethe Bethe hi Kaaba Ke 7 Tawaaf kiye ,Hazrat Muhammad bin Maslama Raziyllahu Anhu Aap ﷺ ki ountni ki muhaar pakde hue they, Un chakkaro ke Dauraan Aap ﷺ ne Haath mubarak se Hajre Aswad Ka istelam Kiya Yani Bosa dene Ka ishara Kiya ,
★_ Us Waqt Kaaba me 360 But they , Arab ke har Qabile Ka but alag alag tha , Huzoor Akram ﷺ ke Haath me us Waqt ek Lakdi thi ,Jisse har But ko hilaate chale gaye..But moonh ke Bal girte chale gaye..us Waqt Aap ﷺ Surah Bani israiyl ki Aayat number 81 tilawat farma rahe they...Uska Tarjuma ye Hai :-
*"_ Haq Aaya aur Baatil guzar gaya aur waqa'i Baatil cheez to Yu'nhi aani Jani hai _,"
★_ Tawaaf ke Dauraan Huzoor Akram ﷺ Hubl but ke paas pahunche, Quresh ko is But per bahut Fakhr tha ,Wo uski ibaadat per bahut Fakhr Karte they,Ye Quresh ke sabse bade Buto me SE ek tha , Aap ﷺ ne Wo Lakdi us But ki Aankho'n per maari ..fir Aap ﷺ ke Hukm se But ko tukde tukde Kar diya gaya ,
Us Waqt Hazrat Zuber bin Awaam Raziyllahu Anhu ne Hazrat Sufiyaan Raziyllahu Anhu se Kaha :- "_ Ey Abu Sufiyaan ! Hubl Tod diya gaya...tum us per Fakhr Kiya Karte they_,"
Ye sun Kar Hazrat Abu Sufiyaan Raziyllahu Anhu bole :- "_ Ey ibne Awaam ! Ab un Baato Ka Kya faayda _,"
Fir Huzoor ﷺ muqame Ibrahim per pahunche, Us Waqt ye Muqaam khana Kaaba SE Mila hua tha ...Uske baad Huzoor Akram ﷺ ne Hazrat Ali Raziyllahu Anhu se farmaya:- Mere Kaandho per khade ho Kar Kaaba ki Chhat per Chadh Ja'o aur Chhat per Bani Khaza Ka Jo But hai ..us per chot maaro _,"
Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne Hukm ki tameel ki aur Chhat per Chadh Kar But ko Zarb lagayi ..ye Apni salakho se nasb Kiya gaya tha..Aakhir ukhad gaya, Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne usko utha Kar niche Fai'nk diya ,
★_ Ab Huzoor Akram ﷺ ne Hukm farmaya :- "_ Bilaal ! Usman bin Talha SE Kaaba ki chabiya'n le aao _,"
*_ Seeratun Nabi ﷺ_Qadam Ba Qadam ( Writer- Abdullah Farani ) -Jild -2 Safa-247,*
╨─────────────────────❥
*┱✿__ जब बुत मुंह के बल गिरने लगे _,*
★_आखिर नबी करीम सल्लल्लाहू अलैही वसल्लम मक्का मुआवजा में दाखिल हुए , आप सल्लल्लाहू अलैही वसल्लम उस वक्त अपनी ऊंटनी कसवा पर सवार थे आप सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम के पीछे हजरत उसामा बिन ज़ैद रज़ियल्लाहु अन्हु बैठे थे, आप सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम ने यमनी चादर का एक पल्ला सर पर लपेट रखा था और आजिज़ी और इंकसारी से सर को कजावे पर रखा हुआ था , उस वक्त आप सल्लल्लाहू अलैही वसल्लम फरमा रहे थे :- ऐ अल्लाह ! जिंदगी और ऐश सिर्फ आखिरतत का है _,"
★_ हुजूर अकरम सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम कदा के मुकाम से मक्का में दाखिल हुए यह मुकाम मक्का की बालाई सिम्त में है.. मक्का में दाखिल होने से पहले आप सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम ने गुस्ल भी फरमाया था, आप सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम ने शोएब अबी तालिब के मुकाम पर क़याम फरमाया यह वही घाटी थी जिसमें कुरेश ने आप सल्लल्लाहू अलैही वसल्लम को 3 साल तक रहने पर मजबूर कर दिया था और वह तीन साल मुसलमानों के लिए इंतेहाई दुख और दर्द के साल थे ,जब हुजूर अकरम सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम शहर में दाखिल हुए और मक्का के मकानात पर नज़र पड़ी तो अल्लाह की हम्दो सना बयान की, मक्का में हुजूर अकरम सल्लल्लाहू अलैही वसल्लम पीर के दिन दाखिल हुए जब आप सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम ने मक्का से हिजरत की थी वह भी पीर ही का दिन था।
★_ आखिर हुजूर सल्लल्लाहू वसल्लम हरम में दाखिल हुए अबू बकर सिद्दीक रजियल्लाहु अन्हु आप सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम के बराबर चल रहे थे और आप सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम से बातें कर रहे थे फिर आप सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम बैतुल्लाह में दाखिल हुए.. ऊंटनी पर बैठे-बैठे ही काबे के सात तवाफ किए, मोहम्मद बिन मुस्लिमा रज़ियल्लाहु अ
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
الأحد، 24 مايو 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot