*AETIKAF KE MAKRUHAAT*
AAJ KA SAWAL NO.2101
Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?
JAWAB
Aetikaf niche dee hui baton se makrooh hota hai.
- Bila zarurat baate karna,
- Aitkaaf ki haalat me fahash ya bekaar aur juthe qisse kahaniya ya islam ke khilaf mazaamin per mushtmil literatures, Tasveer wale akhbaraat wa Rasail ya akhbaar ki jhooti khabre masjid me lana, rakhna, padhna, sunna,
- Zarurat se ziyadah saaman masjid me laakar bikher dena,
- Masjid me bijli (electricity, power), gas aur paani vagera ka beza {Fuzool} isteamal karna,
- Masjid me Cigarette, Bidi v Huqqa peena,
- Ujrat (mazdoiri) ke saath hajaamat banana aur banwana,
lekin agar kisi ko hajaamat ki zarurat hai aur bager ujrat ke banaane wala mil na raha ho to aisi soorat akhtyar ki ja sakti hai ke Hajamat banane wala masjid se bahar rahe aur Muatakif masjid ke andar.
MASAILE AETIKAF SE MAKHOOZ
و اللہ اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Hanfi Chisti
Ustaze Darul Uloom, Rampura, Surat, Gujrat, India
*_Join Telegram Channel_*
https://t.me/IslamicMsgofficial
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
السبت، 16 مايو 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot