⚈◢
✰══❖═══✰══❖═══
ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
*_𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐓𝐞𝐥𝐞𝐠𝐫𝐚𝐦 𝐂𝐡𝐚𝐧𝐧𝐞𝐥_*
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
*_𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐖𝐡𝐚𝐭𝐬𝐚𝐩𝐩 𝐆𝐫𝐨𝐮𝐩_*
https://chat.whatsapp.com/D1sNmtY5vyPEjRNVERN4FG
✰═══❖══✰═══❖══✰
*SHAB – E – QADAR*
*QIST - 05*
❖══✰═══❖
*◐☞Shabe Qadr Kab Talash Kare? ◐*
❖_ Shabe Qadr ke Waqt ke bare mai Ulma ke bahut se aqwaal hai’n, Lekin Aksar Ulma is per mutafiq hai’n k WO Ramzanul Mubarak ki Aakhri 10 Raato mai se koi Raat hoti hai ,Aur un 10 Raato mai bhi Taaq Raato ( 21-23-25-27-29) mai Shabe Qadr ki ummeed zyada hai aur 27 Vi Shab mai Sabse zyada ummeed hai ,Hattaki baaz Ulma ne isi tareekh ko Goya mutaiyan kar diya hai ,
*(Qurtubi -10/121)*
❖_ Isliye Ramzan ke Aakhri Ashre mai bil khusoos ghutne tek kar Shabe Qadr ki talash mai lag Jana chahiye , itni Azeem Fazilat ke haasil karne ke liye Das Raate ibaadat mai guzaar dena koi mushkil nahi ba-sharte k Dil mai Jazba aur Tadap ho , ◐
*◐☞ Shabe Qadr Kin A’amaal mai Guzaare? ◐*
❖_ Hadees mai aata hai k Shabe Qadr ki Fazilat to use bhi haasil hoti hai Jo Magrib aur Isha ki namaze Ba-jama’at adaa kare , *(Roohul Ma’ani-16/354)*
Lekin Ye Sabse Adna darja hai , Behtar ye hai k is Raat mai mukhtalif ibaadato ko jama kare aur khoob Ji laga kar aur nihayat zoq v shoq aur bashashat se ibaadat mai mashgool rahe ,
❖_ Tilawate Qur’ane Kareem is tarah Tavajjoh ke saath kare k jab Ayaate Rehmat se guzre to Allah Ta’ala se rehmat ka ummeedwaar ho ,aur Jab Ayaate Azaab se guzre to Jahannam se panaah maangne ,
❖_ isi tarah nawafil ki Kasrat kare ,moqa mile to Kam az Kam Salatut tasbeeh padhe, neez hamdo sana ,istigfaar, darood Sharif aur Aaho zaari ke saath Dua aur munajaat mai mashgool rahe ,Ye poori Raat qubuliyat ki Raat hai ,is Raat mai Malayka Asmaan se utarte hai’n aur ibaadat karne walo ko apne jhurmut mai le lete hai’n , Malayka ki Sohbat ki vajah se Dil naram ho Jate Hai’n ,Khushu khuzu ki kaifiyat paida hoti hai ,isliye Duniya aur Aakhirat ki har tarah ki bhalaiya’n maangni chahiye aur har tarah ki buraiyo’n aur Shar se panaah maangni chahiye,
❖_ Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai’n k maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya k agar mujhe Shabe Qadr naseeb ho jaye to mai kya Kalimaat ada karu ?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k :- Ye Dua karo
-*__
*"_اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي _,"*
۔
*Allahumma innaka Afuwwu Tuhibbul Afwa Fa’afu Anni ,*
“Ey Allah ! Aap bahut maaf farmane wale hai’n isliye mujhe bakhsh dijiye ,” *(Roohul Ma’ani -16/354)*
*__Wazahat_* _Yaha ye Wazahat zaroori hai k Shabe Qadr ke liye koi mustqil ibaadat Shariyat aur Sunnat se saabit nahi hai ,Balki is bare mai Ummat ke afraad ko azaadi di gayi hai k WO Apni bashashat ke aitbaar se jis ibaadat mai zyada ji lage usme apna waqt sarf kare ,
*Jesa k dekha jata hai k Shabe Qadr ke moqe per bahut se pamphlet aur ishtehaar lagaye Jate hai’n jinme baaz A’amaal aur Nawafil ke khaas fazail likhe hote Hai’n ,WO Sab be-Asal hai’n, unko hargiz laazim na samnha jaye aur Khaas tor per Namaze Qaza e Umri ke naam se bataya jata hai k Jo Shakhs Shabe Qadr mai zikr karda khaas Duao’n ke saath 2 Raka’at Nifl padhega uski guzishta Saath Saal ki Farz namaze maaf ho jayengi , To ye bilkul Jhoot aur fraud hai , Nifl padhne se Farz namaze hargiz maaf nahi ho sakti ,Unki qaza zaroori hai ,*
“__isliye musalman esi be asal aur pur fareb baato per bilkul yaqeen na kare balki Shabe Qadr mai har tarah ki Bid’at aur Rusumaat se door rehte hue ikhlaas aur khushu Khuzu ke saath ibaadat mai mashgool rahe taki Allah Ta’ala ki rehmat se faayda uthaya ja sake, ◐
*❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴*
*Shabe Qadr Aur Uski Fazilat,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*शबे- कद्र *
❖══✰═══❖
*◐☞शबे कद्र कब तलाश करें? ◐*
❖_ शबे कद्र के वक्त के बारे में उलमा के बहुत से अक़वाल हैं लेकिन अक्सर उलमा इस पर मुत्तफिक़ है कि वह रमजान उल मुबारक की आखिरी 10 रातों में से
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
Wednesday, May 20, 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot