𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Friday, May 22, 2020

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

*RAMZAN KA AAKHRI JUMA AIK GALAT HADIS KI TARDID*

Aaj ka sawal no. 2108

Ramzan ke aakhri juma ko 4 raakat qaza e umri ki niiyat se padhne se tamam umr ki qaza namaze adaa ho jayegi ?

Jawab

Pichle kuch saalo se Jese hi Ramazan ka aakhri Jumuah aata hai social media me aik galat aur juthi hadis badi tezi se chal padti hai jis ka khulasa ha ki

"jis aadmi ki zindagi me bahut si namaze qaza huyi ho aur use uski tadad bhi na maalum ho to agar wo ramazan k aakhri jumuah ko 4 rakat qaza e umri ki niyat se parh le aur usme ye surah itni baar aur ye surat itni baar parhe to pichhli qaza namazo ka kaffarah ho jayega......."

Awwal to ye baat masail k aitibaar se bilkul durust nahi hai kyunki qaza namazo ko pura parhna aikdam zaruri hai,

Niz is hadis k baare me Ulama e hadis k aqwaal bhi dekh le:

قال الشيخ العلامة عبد الحي اللكنوي: "حديث من قضى صلوات من الفرائض في آخر جمعة من رمضان كان ذلك جابراً لكل صلاة فائتة من عمره إلى سبعين سنة. قال علي القاري في موضوعاته الصغرى والكبرى باطل قطعياً........

(الآثار المرفوعة في الأخبار الموضوعة ص 85)

Hazrat Allahma Abdul Hai lkhnavi ra frmate hai ki Mulla Ali Qari R. A. ne use aikdam batil aur juthi likha hai,

وقال الشيخ الشوكاني: "حديث من صلى في آخر جمعة من رمضان الخمس الصلوات المفروضة في اليوم الليلة قضت عنه ما أخل به من صلاة سنته.

هذا: موضوع لا إشكال فيه ولم أجده في شيء من الكتب التي جمع مصنفوها فيها الأحاديث الموضوعة.........

(الفوائد المجموعة ص 54)

Allahma shawkani ra frmate hai ki ye hadis aikdam juthi hai jisme koi shak nahi,muje un kitabo me bhi nahi mili jisme mozua (juthi) ahaadis ko jama kia gaya hai

Khulasa e kalam ye ki ye aikdam juthi hadis hai lihaza

1. Aise hadiso ko social media me felane se bachna chahiye wrna Aap SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ki is riwayat ka hum bhi misdak ban jayenge ki

(من كذب علي متعمداً فليتبوأ مقعده من النار)رواه البخاري

"jisne meri janib jaan buj ker juthi baat(hadis) mansub ki wo apna thikana jahannum me talash kr le"

2. Deen ki koi bhi baat kisi moatabar aamile deen se puche bina social media me hargiz na felaye.

Allah taala humse deen ki saheeh samaj ata frmaye.

Jazakallahu khairan

(Shaikhul hadis) Hazrat Mufti Khalil Ahmed Kawiwala db

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* :
28 RAMZANUL MUBARAK 1441 HIJRI

Tasdeeq
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

*_Join Telegram Channel_*
https://t.me/IslamicMsgofficial
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot