𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Thursday, July 23, 2020

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post


┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
●• *ASHRA- E- ZILHIJJA* •●
*◐ Part-2 ◐*
╥────────────────────❥
║✿ ☞ *Ashara E Zilhijja Mai Baal v Nakhoon Kaatne Ka Hukm*

⚀ _ Ummul Momineen Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha se Riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
*_ Jab Zilhijja ka Pehla Ashra Shuru ho Jaye ( Yani Zilhijja ka chand dekh liya jaye ) aur Tumme se Kisi ka iraada qurbani ka ho to usko chahiye k ab qurbani Karne tak Apne Baal ya Nakhoon bilkul na tarashe ,
*ReF-┐Sahih Muslim,*

⚀ _Dar asal Ye Ashra Hajj ka hai aur in Ayyam mai khaas ul Khaaa Amal Hajj hai ,Lekin Hajj Makka Muazzama ja kar hi ho sakta hai ,isliye Umar mai sirf ek dafa aur Wo bhi Ahle isteta’at per farz kiya gaya hai, iski Khaaa barkaat wahi Bande haasil kar sakte hai’n Jo waha haazir ho kar Hajj kare ,

⚀ _Lekin Allah Ta’ala ne Apni Rehmat se Saare Ahle imaan ko iska moqa diya hai k Jab Hajj ke Ayyam aaye to Wo Jo Apni Apni jagah rehte hai’n ,Hajj aur Hujjaaj se ek nisbat paida karte hue unke kuchh Amaal mai Shareek ho jaye ,Eidul Azha Kï Qurbani ka Khaas Raaz yahi hai,

⚀ _Hujjaaj Dasvi Zilhijja ko Meena mai Alaah ke Huzoor Apni Qurbani pesh karte hai’n ,Duniya bhar ke Musalman Jo Hajj mai Shareek nahi ho sake unko Hukm hai k Wo Apni Apni Jagah theek usi Din Allah ke Huzoor mai Apni Qurbani pesh kare aur Jis Tarah Haaji Ahraam baandhne ke baad Baal ya Nakhoon nahi tarashwate ,Usi tarah Wo musalman Jo Qurbani karne ka iraada rakhte hai’n , Zilhijja ka chaand nazar aane ke baad Baal ya Nakhoon na tarahe aur is tareeqe se bhi Hujjaaj se ek munasbat aur mushabhat paida kare,

⚀ _ Kis Qadar Mubarak hidayat hai Jis Per Amal Karke Tamaam musalman Hajj ke Anwaraat aur Barkaat mai hissa le sakte hai’n,
╨─────────────────────❥
●• *अशरा ए ज़िलहिज्जा* •●
╥────────────────────❥
║✿ ☞ *अशराए ज़िल्हिज्जा में बाल व नाखून काटने का हुक्म*

⚀ _उम्मुल मोमिनीन हज़रत उम्मे सलमा रज़ियल्लाहु अन्हा से रिवायात है कि रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया:-
"_जब ज़िल्हिज्जा का पहला अशरा शुरू हो जाए (यानी ज़िल्हिज्जा का चांद देख लिया जाए) और तुममे से किसी का इरादा कुर्बानी का हो तो उसको चाहिए कि अब कुर्बानी करने तक अपने बाल या नाखून बिल्कुल न तराशे,
*( सही मुस्लिम )*

⚀ _दरअसल ये अशरा हज का है और अय्याम में खास उल खास अमल हज है,लेकिन हज मक्का मुअज़्ज़मा जा कर ही हो सकता है,इसीलिए उमर में सिर्फ एक दफा और वो भी अहले इस्तेताअत पर फ़र्ज़ किया गया है,इसकी खा बरकात वही बंदे हासिल कर सकते हैं जो वहां हाज़िर हो कर हज करें,

⚀ _लेकिन अल्लाह ताला ने अपनी रहमत से सारे अहले ईमान को इसका मौका दिया है कि जब हज के अय्याम आये तो वो जो अपनी अपनी जगह रहते हैं , हज और हुज्जाज से एक निस्बत पैदा करते हुए उनके कुछ आमाल में शरीक हो जाए, ईदुल अज़हा की कुर्बानी का खास राज़ यही है,

⚀ _हुज्जाज दसवीं ज़िल्हिज्जा को मीना में अल्लाह के हुज़ूर अपनी कुर्बानी पेश करते हैं, दुनिया भर के मुसलमान जो हज में शरीक नही हो सके उनको हुक्म है कि वो अपनी अपनी जगह ठीक उसी दिन अल्लाह के हुज़ूर में अपनी कुर्बानी पेश करे और जिस तरह हज अहराम बंधने के बाद बाल या नाखून नही तराशवाते , उसी तरह वो मुसलमान जो कुर्बानी करने का इरादा रखते हैं,ज़िल्हिज्जा का चांद नज़र आने के बाद बाल या नाखून न तराशे और इस तरीके से भी हुज्जाज से एक मुनासिबत और मुशाबहत पैदा करे,

⚀ _किस कदर मुबारक हिदायत है जिस पर अमल कर के तमाम मुसलमान हज के अनवारात और बरकात में हिस्सा ले सकते हैं,*
╭┄┅┅◐═══◐══♡◐♡══◐═══◐┅┅┄╮
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*

*https://bit.ly/IslamicMsgOfficial*
╰┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄╯


No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot