╭ *﷽* ╮
┌═
┇ *ِHALAAL - HARAAM*
┻───────────────✿
*★ POST NO-61 ★*
┅┈•✿ ͜✯ ͜͡ ͜͡ ✯͜ ✿•┄┅
*╠☞ Ajnabi Aurat Ke Saath Khilwat ( Tanhayi) Haraam hai-2 _,*
❀__ *( Pichhe Part Se Jaari )* _ , Azwaaje Mutahraat ki Shaan mai Ye Aayat Naazil Hui :- "_ Nabi Ki Azdwaaj se Jab kabhi tumhe koi Cheez maangna ho to Parde ke pichhe se maanga Karo , Ye Tareeqa Tumhare Dilo'n ke liye bhi Pakizgi Ka baa'is hai aur Unke Dilo'n ke liye bhi _," *( Surah Al Ahzaab -53)* Aayat ki Tafseer Bayan karte hue imaam Qurtubi farmate hai'n :-
"_ Muraad ye hai k un Khayalaat se Dilo'n ko Paak Kiya Jaye Jo Aurto'n ke talluq se Mardo'n ke Dilo'n mai Aur Mardo'n ke Talluq se Aurto'n ke Dilo'n mai Paida Hote hai'n, Yani Parda karne se Shak aur Tohmat ke liye gunzaish baqi nahi rehti aur ye hifazat Ka bada zariya hai , isse ye rehnumayi milti hai k Kisi Shakhs ke liye munasib nahi hai k Wo Khud Aitmaadi se Kaam le Kar kisi Ajnabi Aurat Ke Paas Khilwat mai rahe ,isse bachna Behtar hai aur Paak Daamani v Asmat ki Hifazat Ka zariya hai _," *( Tafseer Al Qurtubi-14/228)*
❀__ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Khaas Tor se Shohar ke Rishtedaro Maslan Dever ,Shohar ke Chachazaad Bhai vagera ke Saath Khilwat mai rehne se Mana farmaya hai, Iski vajah ye hai k Kisi Rishtedar ke Saath Khilwat mai rehna Gairo ki banisbat zyada khatarnaak hota Hai aur isme Shadeed Fitne Ka ahatmaal hota hai Kyunki Wo Be rok tok aa ja sakta hai ,Yahi Hukm Bivi ke gair mehram Rishtedaro ke Saath Khilwat mai rehne Ka hai , Maslan Bivi ke Chachazaad Bhai,Mamu zaad Bhai ,khala zaad Bhai, in me se kisi ke Saath Khilwat mai rehna Jaa'iz nahi hai ,
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai :- "_ Aurto'n ke paas Khilwat mai rehne se bacho , Ansaar mai se ek Shakhs ne kaha - Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Hamu (Dever) ke bare mai Kya Khayal hai ? Farmaya:- Hamu (Dever) Maut hai _," *( Bukhari-5232, Muslim-2172)*
* Islam mai Haraam v Haraam _123_,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━╯
┇ *_ हलाल - हराम _*
┻───────────────✿
*╠☞अजनबी औरत के साथ खिलवत हराम है-2 _,*
*❀ *__(पिछले part से जारी),* _,
*अज़वाजे मूतहरात की शान में ये आयत नाज़िल हुयी:-"_नबी की अज़वाज से जब तुम्हें कोई चीज़ माँगना हो तो पर्दे के पिछे से माँगा करो, ये तरीक़ा तुम्हारे दिलों के लिए भी पाकीज़गी का बाईस है और उनके दिलों के लिए भी_,"* *(सूरे अल अहज़ाब-53)* *आयत की तफ्सीर बयान करते हुए ईमान कुर्तुबी रहेमतुल्लाही अलैहि फरमाते है:-*
*"__मुराद ये है के उन ख़यालात से दिलों को पाक किया जाए जो औरतों के ताल्लुक़ से मर्दों के दिलों में और मर्दों के ताल्लुक़ से औरतों के दिलों में पैदा होते है, यानी पर्दा करने से शक और तोहमत की गुंजाइश बाक़ी नहीं रहती और ये हिफाज़त का बड़ा ज़रिया है, इससे ये रहनुमाई मिलती है के किसी शख़्स के लिए मुनासिब नहीं के वो ख़ुद ऐतेमादी से काम लेकर किसी औरत के पास खिलवत में रहे, इससे बचना बेहतर है और पाकदामनी औरत की असमत की हिफाज़त का ज़रिया है_," (तफ्सीर अल कुर्तुबी-14/228)*
*__रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम ने खासतौर से शौहर के रिश्तेदारों मसलन देवर, शौहर के चाचाज़ाद भाई वगैरह के साथ खिलवत में रहने से मना फ़रमाया है के किसी रिश्तेदार के साथ खिलवत में रहना गैरो के बानिस्बत बड़ा खतरनाक होता है और इसमें शदीद फितने का अहेतेमाल होता है, क्यूँकि वो बेरोक-टोक, आ-जा सकता है,ये हुक्म बीवी के ग़ैर रिश्तेदारों के साथ खिलवत में रहने का है, मसलन बीवी के चचाज़ाद भाई, खालाज़ाद भाई, इनमे से किसी के साथ खिलवत में रहना जायज़ नहीं है,*
*__नबी करीम सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम का इरशाद है:-"_औरतों के पास खिलवत में रहने से बचो, अन्सार में से एक शख़्स ने कहा- ऐ अल्लाह के रसूल सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम! हमू (देवर) के बारे में क्या ख्याल है?फरमाया:- हमू (देवर) मौत है_"* *(बुखारी-5232, मुस्लिम-2172)*
* इस्लाम में हलाल व हराम 123_,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
Post Top Ad
Your Ad Spot
الأحد، 31 يناير 2021
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot

