╭ ﷽ ╮
┌═
┇ ِHALAAL – HARAAM
┻───────────────✿
*★ POST NO-62 ★*
┅┈•✿ ͜✯ ͜͡ ͜͡ ✯͜ ✿•┄┅
*╠☞ Mard Ka Aurat Ko Aur Aurat Ka Mard Ko Shehwat Ki Nazar Se Dekhna _,*
❀__ Islam ne is Baat ki bhi Haraam qaraar diya Hai k Mard Apni Nigaah Aurat per daale aur Aurat Mard per , isliye k Aankhe Dil Ki Kunji hai’n aur Nazar Fitne Ka Paigaam aur Zina ki Qaasid hai ,Ek Shayar ne kaha hai :- Tamaam Hawadis ki ibtida Nazar se hoti hai aur Chhoti si chingari se zabardast Aag bhadak uthti hai, Pehle Nazar ,Fir Muskurahat, Fir Salam, Fir Kalaam, Fir Vaada aur Fir Mulaqaat ,
❀_ Isiliye Allah Ta’ala ne Tamaam Momin Mardo’n aur Aurto’n ko Jaha’n Apni Sharmgaho ki Hifazat karne Ka hukm diya hai, Waha’n Bil khusoos Nazre nichi rakhne ki bhi Hidayat di hai ,, “_ Momin Mardo’n se kaho k Apni nigaahe’n nichi rakhe aur Apni Sharmgaho ki Hifazat Kare, Ye Unke Haq mai zyada Pakiza Baat hai , Yaqinan Jo kuchh bhi log karte hai’n Allah usse Ba Khabar hai , Aur Momin Aurto’n se Keh do k Wo bhi Apni Nigaah nichi rakhe aur Apni Sharmgaho ki Hifazat Kare _,” ( Surah An Noor – 30-31)
❀_ Nazro ko bilkul Azaad na chhod Diya Jaye k Wo Aane Jane waliyo’n ya Aane Jane walo per pade, Lihaza jab kisi ki nazar Jins muqabil per pade to na uske Muhasin per nazre jamaye aur na usko ghoor ghoor Kar dekhe , Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Sayyadna Ali Raziyallahu Anhu se farmaya tha :- “_ Ey Ali ! Pehli Nazar ke Baad Doosri Nazar na daalo, Pehli Nazar maaf hai lekin Doosri nahi,” ( Musnad Ahmad-5/353, Tirmizi-2777)
*"_Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Jins muqabil per Harisana Nigaah daalne ko Aankho Ka Zina se tabeer Kiya hai :- “,Aankhe’n Zina Karti hai’n aur Unka Zina Nazar hai ,”, ( Bukhari-6243, Muslim-2657)
* Islam mai Haraam v Haraam -225_,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━╯
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━╯
*┇ _ हलाल – हराम*
┻───────────────✿
*╠☞मर्द का औरत को और औरत का मर्द को शहवत की नज़र से देखना,*
*❀__इस्लाम में इस बात को भी हराम क़रार दिया है के मर्द अपनी निगाह औरत पर डाले और औरत मर्द पर, इसलिए की आँखे दिल की कुंजी है और नज़र फितने का पैगाम औरत ज़िना की कासिद है,
एक शायर ने कहा है:- तमाम हवादिस की इब्तिदा नज़र से होती है और छोटी सी चिंगारी से ज़बरदस्त आग भड़क उठती है,
पहले नज़र, फिर मुस्कुराहट, फिर सलाम, फिर कलाम, फिर वादा औरत फिर मुलाक़ात..,
*❀ इसलिए अल्लाह तआला ने तमाम मोमिन मर्दों और औरतों को जहाँ अपनी शर्मगाह की हिफाज़त करने का हुक्म दिया है, वहाँ बिलखुसूस नज़रे नीची रखने की भी हिदायत दी है,, “मोमिन मर्दो से कहो के अपनी निगाहे नीची रखें और अपनी शर्मगाह की हिफाज़त करे, ये उनके हक़ में ज़्यादा पाकीज़ा बात है, यक़ीनन जो कुछ भी लोग करते है अल्लाह उससे बाखबर है, और मोमिन औरतों से कह दो के वो भी अपनी निगाह नीची रखें और अपनी शर्मगाह की हिफाज़त करे_” (सूरे अन नूर-30:31)
*❀_ नज़रो को बिलकुल आज़ाद ना छोड़ दिया जाये के वो आने-जाने वालियों या आने जाने वालो पर पड़े, लिहाज़ा जब किसी की नज़र जींस मुकाबिल पड़े तो ना उसके मुहासिन पर नज़रे जमाए और ना उसको घूर-घूरके देखे, रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम ने हज़रत अली रज़ि से फ़रमाया:-“ऐ अली! पहली नज़र के बाद दूसरी नज़र ना डालो, पहली नज़र माफ़ है लेकिन दूसरी नहीं“( मुसनद अहमद-5/353, तिरमिज़ी-2777)
नबी करीम सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम ने जींस मुकाबिल पर हारिसाना नज़र डालने को ज़िना से ताबीर किया है:-“आँखे ज़िना करती है और उनका ज़िना नज़र है_” (बुख़ारी-6243, मुस्लिम-2657)
* इस्लाम में हलाल व हराम 225_,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
https://www.youtube.com/IslamicMsgOfficial
Subscribe Our YouTube Channel
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
Telegram https://t.me/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
Post Top Ad
Your Ad Spot
الاثنين، 1 فبراير 2021
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot

