𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأربعاء، 3 فبراير 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

╭ *﷽* ╮
┌═
┇ *ِHALAAL - HARAAM*
┻───────────────✿
*★ POST NO-64 ★*

┅┈•✿ ͜✯  ͜͡ ۝͜͡  ✯͜ ✿•┄┅​

*╠☞ Tabarruj ( BePardgi ) Ki Hurmat _,*
❀__ Musalman Khatoon,Kaafir aur Jaahili Khatoon ke muqable mai mumtaz Akhlaaq aur Awsaafe Poshida ki haamil hoti hai , Uske andar Akhlaaq ki paasdaari ,izzat v uffat aur Sharmo Haya Jesi Sifaate hoti hai'n , Lekin Jaahili Aurat Ka Akhlaaq Tabarruj ( BePardgi) aur Mardo'n ke Sandi Jazbaat ko ubharna hota hai ,

❀__ Tabarruj ke Maa'ni Khul Jane aur Zaahir hone ke hai , Tabarruj ki Haqeeqat ye hai k Jis Cheez ko chhupana behad zaruri ho usko be takalluf zaahir Kiya Jaye , Lekin Ye lafz is izhare Zeenat aur Un Mahasin ke izhaar ke liye makhsoos ho gaya hai Jo Aurte'n Mardo'n ke saamne karti Hai'n, Jin cheezo Ka chhupana behad zaruri hai Unme Jism Ka koi hissa bhi ho Sakta hai aur Kisi uzv ki Harkat bhi ,Guftgu aur chalne Ka Tareeqa bhi ho Sakta Hai aur Zever vagera jesi Aara'ish ki cheeze bhi , Tabarruj ki Mukhtalif Soorte hai'n Jinse log qadeem Zamane mai bhi Aashna they aur Jadeed Zamane mai bhi Aashna hai'n ,Mufassireen ne Baaz Soorto'n Ka zikr *( Surah Al Ahzaab-33)* Ki Tafseer karte hue kiya hai :-
"__ Apne Gharo mai Waqaar ke Saath raho aur Saabiq daure Jaahiliyat Ka sa Dikhawa na karti firo _," *( Surah Al Ahzaab -33)*

Mujahid bin Juber ( Sayyadna ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ke khaas Shagird ) kehte hai'n :- Aurat Bahar nikal Kar Mardo'n ke darmiyan Chala karti thi _," Mash'hoor mufassir Qatada kehte hai'n , "Aurte'n Naaz nakhre ke Saath Chala karti thi _," Aur Mufassir Maqatil kehte hai'n , " Tabarruj ye hai k Aurte'n Apna dupatta is tarah saro per daal liya karti k Haar ,Baaliya'n ,Gardan vagera khule rehte _," *( Tafseer ibne kaseer -1061, Tafseer Durre Mansoor -6/602)*

❀_ Ye thi Qadeem Jaahiliyat ke Tabarruj ki Soorte'n Yani Mardo'n ke Saath ikhtlaat ,Chalne mai naaz nakhre aur Dupatta is tarah odna k jism ke Mahasin aur Zeenat zaahir ho Jaye ,Lekin Aaj Jo Nayi Nayi Soorte aur Jo nit Naye dhang ijaad ho rahe hai'n Unke saamne qadeem Jaahiliyat Ka Tabarruj bhi maat kha Gaya ,

* Islam mai Haraam v Haraam -242_,*

┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━╯
        ┇
        ┻───────────────✿
*╠☞बेपर्दगी की हूरमत_,*

*❀__मुसलमान खातून, काफिर और जाहिल खातून के मुकाबले में मुमताज़ अख़लाक़ और अवसाफे पोशीदा की हामिल होती है, उसके अन्दर अख़लाक़ की पासदारी, इज़्ज़त व उफ्फ्त और शर्म हया जैसी सिफ़ाते होती है, लेकिन जाहिल औरत का अख़लाक़ बेपर्दगी औरत मर्दों के गंदे जज़्बात को उभारना होता है,

__बेपर्दगी के मायने खुलजाने और ज़ाहिर होनेके है, बेपर्दगी की हकीक़त ये है के जिस चीज़ को छुपाना बेहद ज़रूरी हो उसको बेतक़ल्लुफ़ ज़ाहिर किया जाए, लेकिन ये लफ्ज़ इस इज़हारे ज़ीनत और उन महासिन के इज़हार के लिए मख्सूस हो गया है जो औरते मर्दों के सामने करती है, जिन चीज़ों का छुपाना बेहद ज़रूरी है उनमे जिस्म का कोई हिस्सा भी हो सकता है औरत किसी उज़्व की हरकत भी, गुफ्तगू और चलने का तरीक़ा भी हो सकता है और ज़ेवर वग़ैरा जैसी आराइश की चीज़ें भी, बेपर्दगी की मुख़्तलिफ़ सूरते है जिनसे लोग कदीम ज़माने में भी आशना थे औरत जदीद ज़माने में भी आशना है, मुफस्सिरिन ने बाज़ सूरतों का ज़िक्र *(सूरे अल अहज़ाब-33)* की तफ्सीर बयान की है:-
"__अपने घरों में वकार के साथ रहो और साबिक दौर-ए-जाहीलीयत का सा दिखावा ना करती फिरो_" *(सूरे अल अहज़ाब-33)*

__मुजाहिद बिन ज़ुबैर (हज़रत इब्ने अब्बास रज़िअल्लाहु अन्हु के शाग़िर्द) कहते है:- औरत बाहर निकलकर मर्दों के दरमियान चला करती थी_"
मशहूर मुफस्सीर कतादा कहते है, "औरते नाज़ नखरे के साथ चला करती थी_"
और मुफस्सीर मकतील कहते है:-बेपर्दगी ये है के औरते अपना दुपट्टा इस तरह सरों पर डाल लिया करती के हार, बालिया, गर्दन वग़ैरा खुले रहते_" *(तफ्सीर इब्ने कसिर-1061, तफ्सीर दुर्रे मंसूर-6/602)*

__ये थी कदीम जाहीलीयत की बेपर्दगी की सूरते यानी मर्दों के साथ इख़्तिलात, चलने में नाज़ नखरे और दुपट्टा इस तरह ओढ़ना के जिस्म के महासिन और ज़ीनत ज़ाहिर हो जाए, लेकिन आज जो नयी नयी सूरते और जो नए ढँग इजात हो रहे है उसके सामने कदीम जाहीलीयत की बेपर्दगी भी हार गयी,

* इस्लाम में हलाल व हराम 242_,* 
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
https://www.youtube.com/IslamicMsgOfficial
Subscribe Our YouTube Channel

https://bit.ly/IslamicMsgOfficial

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot