𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأحد، 7 فبراير 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

सर में औरतों की तरह पीन भराना

आज का सवाल नंबर २३७२

आजकल आज कल ये फैशन आम हो रही है के मर्द भी अपने बालों में औरतों की तरह पिन लगाकर बालों को सेट कर रहे हैं, शायद किसी एक्टर की यह नकल उतार रहे हैं।
शरीअत मैं इसका क्या हुक्म है ?

*जवाब*

حامدا و مصلیا مسلما

आदमी उसी की नकल उतारता है जिस से मोहब्बत करता है।
एक मुसलमान की अल्लाह के रसूल सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के साथ इस से बढ़कर मुहब्बत होनी चाहिए।
हदीस में है इंसान कल क़यामत के दिन उसके साथ होगा जिस से मोहब्बत करता है
(बुखारी शरीफ)

अगर हीरो और क्रिकेटर से मोहब्बत होगी तो उसी के साथ उसका हष्र- क़यामत के दिन उठाया जाना होगा।
और इसमें औरतों से भी मुशाबेहत है।

हुज़ूर सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया उन मदों पर ला'नत है जो औरतों की मुशाबेहत इख़्तियार करें।
लिहाज़ा इस तरह सर में पीन भराना बिलकुल जाइज़ नहीं। गुनाहे कबीरा है।

و الله اعلم بالصواب

मिरकात शरहे मिश्कात

*इस्लामी तारीख़*
२४ जमादी~उल~आखर १४४२ हिजरी
मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया

SIR ME AURTON KI TARHA, BAALON MEIN PIN LAGANA KAISA HAI..?

AAJ KA SAWAL No.2372

Aaj-Kal Ye Fashion Aam Ho Rahi Hai, Ke Mard Bhi Apne Baalon mein Aurton ki Tarha Pin Lagakar Balon Ko Set Kar Rahe Hain, Shayad Kisi Actor ki Ye Naqal Utar Rahe Hain, Sharee'at Mein Iska Kya Hukm Hai..?


JAWAAB

حامدا و مصلیا مسلما

Aadmi Usi Ki Naqal Utarta Hai, Jis Se Mohabbat Karta Hai. Ek Musalman ki Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Saath Is Se Badhkar Mohabbat Honi Chahiye. Hadees Mein Hai, Insan Kal Qayamat Ke Din Uske Saath Hoga Jis Se Mohabbat Karta Hai (Bukhari Shareef).

Agar Hero Aur Cricketer Se Mohabbat Hogi, To Usee ke Saath Uska Hashr, Qayamat ke Din Uthaya Jana Hoga Aur Isme Aurton Se Bhi Mushabahat hai. Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya, Un Mardon Par La'nat Hai, Jo Auraton ki Mushabahat Ikhtiyar Karen. Lihaza Is Tarha Sir Mein Pins Bharana Bilkul Jaiz Nahin. Gunah-E-Kabeera Hai.

و الله اعلم بالصواب

MIRQAAT SHARHE MISHKAAT

* ISLAMI TAREEKH* :
24 JUMADIYUL UKHRA 1442 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

*ILmi Baat (Msg) Sikhaana (Phelana) Ibadat Se Behtar hai*
*DEEN SEEKHE AUR SIKHAYE

ROZANA 4 ZABAN URDU, ENGLISH, HINDI, GUJRATI ME AUR URDU AUDIO ME SIRF EK MASLA AUR QURAN KA PAIGAM HEE BHEJA JAYEGA


PURANE SAWAL JAWAB DEKHE
https://www.youtube.com/IslamicMsgOfficial
Subscribe Our YouTube Channel

https://bit.ly/IslamicMsgOfficial

Telegram https://t.me/IslamicMsgOfficial

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot