𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الخميس، 2 ديسمبر 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

*AGAR TALAQ DENI HI HO, TO USKA TARIQAH*

AAJ KA SAWAL NO.2681

Mufti sahab,
ye bataane ki guzarish hai ke agar talaq dene hi ki naubat aaye to uska tariqah kya hai ?

Jawab

Aurat ko haiz, m.c. se baad ki paaki me jis me sohbat na ki ho, talaq ke lafz se sirf ek talaq de,paki ke intizar karne me gussa aamtaur par khatm ho jata hai ya paki ka intizar karne me sohbat ka taqaza paida ho jata hai aur talaq ka iradah hi multaei ho jata hai ye bhi paki me talaq dene ki hikmat hai .sohbat na ki ho Fir bhi talaq dene taiyyar hai to is baat ki daleel hai ke ab is ko bivi me ragbat ya'ane interest nahin hai.

*Har haal me ek hi talaq de, ek saath teen talaq dena haraam Hai.*

Ek hi talaq dene ka faidah Ye hoga ke abhi aur aayindah raasta khula rahega, kyun ke ek talaq ke baad teen haiz - mc tak rujooa karne ka ya'ani talaq ko wapas lene ka ikhtiyar - mauka baaki rehta hai, aur bivi ko agar galaty us kee hai to tambeeh ho jati hai, woh istarah ke ek talaq dete hi khandan me shor mach jayega, bivi ke zahan par bhi asar padega, agar galaty Us ki hai to apni galaty durust karne ke liye aamadah - taiyyar ho jayegi, Ya ghar wale us ko sudharne ke liye taiyyar karenge, ya shohar ki galaty hogi aur shohar ko ehsaas hoga to woh bivi ko sirf itna keh kar ke me talaq se rujooa karta hun bivi ko wapas la sakta hai.

Agar talaq ko wapas na bhi liya to aur mukammal teen haiz - m.c. guzar jaye to bivi nikah se bilkul nikal jatee hai, Us ko jahaan nikah karna ho kar sakti hai.

Agar dono me se kisi ko bhi apna joda-saathi nahin mila Ya bachchon ki muhabbat ki wajah se ke woh haqeeqee maa ya baap se mahroom ho gaye jaisa ke aksar talaqon me hota hai, bivi ko wapas laana hai to sirf do gawah ke samne Nikah hi padhna padega, halaale ke zaroorat nahin hai.

yeh ek talaq dene ka faidah huwa, jo kaam teen talaq se hota hai wohi kaam ek talaq se bhi hota hai, fir bhi hamare muaasharah me log teen hi talaq ek saath dete hain aur ba'az martabaa to zimmedar hazraat ya wukalaa- Advocates dilaate hai, woh bahut badi galaty aur gunah ka kaam karte hain, lihaza talaq to ek hi deni chahiye.

LUBAB SHARHE QUDOOREE AUR MURSHIDI HAZRAT MUFTI AHMAD KHANPURI D.B.KE BAYAN SE MAKHOOZ.

*NOTE*
*Naye qanoon ki wajah se har mahine ek talaq is tarah tin mahine me tin talaq likhni zaruri hai,*
*us ka rasta ye hai ke Advocate ko ek talaq hi likhne ko kahe, woh tin mahine ki tin talaq likhega lekin shohar zaban se ek hi talaq de.*

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

https://bit.ly/IslamicMsgOfficial

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot