AAJ KA SAWAL NO. 2682
Miya bivi me jhagda ho aur bivi na farmaani karti ho to sharan kyaa karna chahiye ?
kya us waqt Talaq deni chahiye ?
Jawab
Talaq Allah ko intihaaee naa-pasand hai, talaq dene Se Allah ko gussa aata hai, Allah taala Ka arsh hil jata hai. lihazaTalaq dene se pehle quraane kareem ne char (4) step-darje bataye hai.
bivi se kisi baat me jhagda ho aur woh naafarmani kare to
1. pehle usey pyar muhabbat se samjhaye, naseehat kare Fir bhi na mane to
2. us ka bistar ghar hee me alag kar de Fir bhi na mane to akhree darja
3. use halki maar mare jis se nishan baqi Na rahe, haddee na tute, lekeen mamoolee galtee par na mare, galtee badee ho to hee dono tadbeer ikhtiyar karne Ke baad akheer me maare, agar maan jaye to us se koi ikhtilafi baat Na kare, usey qusoorwar na thehraye, purani baaton ko bhul jaye. Is se bhi qabu me na aaye to
4. miyan bivi dono khandano Ke reshtedaron me se ek ek insaf se fesla karnewale shakhs dono miya bivi ki shiqayaton (fariyad) ko sune aur ahwal ki tahqeeq kare, aur dono ko samjhane ki aur suleh karane ki koshish kare, agar dono me ikhlas hai kisi ko nicha dikhana apne ko uncha dikhana maqsood na ho to Allah ka wada hai Ke woh suleh kara denge.
Is se bhi muaamala na suljhe to ab akheer me talaq de den jis ka saheeh tareeqah kal pesh Kiya jayega, inshaAllah sawal number 813 me.
surah e Nisaa 35,35 maa tafseere usmani
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
Post Top Ad
Your Ad Spot
Friday, December 3, 2021
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot