𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأحد، 3 يوليو 2022

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

✾✵✾

       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*

                 *❥ Part - 34 ❥*
❂✸✸✸✸✸❂

❧ Teesra adab yeh hai ke guftagu umooman aahistagi aur munaasib aawaaz ke saath karni chaahiye, be mauqa cheekh cheekh kar baatein karna, himaaqat wa jahaalat ki nishaani hai, Allah Ta'ala ne Qur'aan mein Hazrat Luqmaan Alaihissalam ki zabaani guftagu aur bolchaal ka tareeqa is tarah sikhaaya hai: "Aur apni aawaaz zara past rakh, sab aawaaz se buri aawaaz gadhon ki hoti hai".

[Sura-e-Luqmaan: 19]

❧ Chautha adab yeh hai ke guftagu mukhtasar aur baamaqsad honi chaahiye, kyun ke mukhaatab lambi baat Sunne se ukta jaata hai, ek dafa ek shakhs ne taweel khutba diya, Hazrat Amr bin Aas RaziyAllahu anhu ne suna, to farmaaya: Agar yeh shakhs mukhtasar baat karta, to is ke liye behtar hota, kyun ke main ne Huzoor ﷺ se suna hai ke Aap ﷺ ne farmaaya: Mujhe hukm diya gaya hai ke main guftagu mein ikhtesaar ikhtiyaar karoon, kyun ke ikhtesaar behtar hai.

[Abu Daawood: 5008]

❧ Paanchwaan adab yeh hai ke guftagu hamesha dil aazaari, la'an ta'an, geebat wa bohtaan aur tanz wagaira se paak honi chaahiye, kyun ke ahaadees mein in cheezon se bachne ki sakht taakeed aai hai aur aisi baaton ko ikhtiyaar karne waalon ke haq mein sakht waeed bayaan hui hai.

❧ In ke alaawa bahot saare aadaab hain, jin ko ikhtiyaar karna aur jin ko apni rozmarrah guftagu mein ikhtiyaar karna har insaan ke liye zaroori hai, jo shakhs in cheezon par amal karta hai us ke ta‘alluqaat achchhe rehte hain aur baahami ulfat wa muhabbat badhti hai aur aapsi naaittefaaqiyaan door hoti hain.

(..Next - 35, Soon In Sha Allah..)

* Ref:* Deeniyat Course book
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
❂✸✸✸✸✸❂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot