TOHFA- E- DULHAN posт ղo- 95 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Friday, December 16, 2022

TOHFA- E- DULHAN posт ղo- 95


┬✭┬══════════════┬✭┬
I *ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ* l 
┴✭┴══════════════┴✭┴
   *✿ ❈ TOHFA- E- DULHAN ❈ ✿*
                *posт ղo- 95*         
      ◐┄┅════❖════┅┄◐
*✿●•·Aurte'n aur Huzoor ﷺ ki Sunnate -2*
┍━━━━━━━━━━━━━━━┙
*✿●•· 5- Har cheez ka Len Den sidhe haath se kare, Kisi Se koi cheez le to sidhe haath se le aur de to sidhe haath se de aur Bachcho ko bhi iska aadi banaye ,*
╟──────❥
*✿●•· 6- Ghar me aate Jate ya azeez Rishtedaro ke ghar me jate waqt Aurte’n Aapas me ek doosre ko Salam kahe ,” Assalamu Alaykum ” Aapas me baat shuru karne se pehle bhi Salam kare ,*
╟──────❥
*✿●•· 7- Har kaam me Allah Ta’ala Kï taraf nisbat Kijiye k Allah me Hukm se ye hua, Bachcha Allah me Hukm se Bimaar hua, ye na kahe k Sardi lag gayi isliye Bimaar hua ,Fala Doctor se faayda hua balki yu kahe k Allah ke Hukm se Sardi lagne Kï Vajah se Bimaar ho gaya, fala doctor se Dava li Alhamdulillah ! Allah Ta’ala ke Hukm se faayda hua, NAFA nuqsaan Kï nisbat Allah Kï taraf kare, Ittefaaq ka lafz istemal na kare ,*
╟──────❥
*✿●•· Ittefaq koi cheez nahi hoti, Kaynaat ka ek ek zarra ek ek qatra ek ek patta girne me, Behne me ,hilne me aur istemal hone me Allah Ta’ala ke Hukm ka mohtaaj he ,*
╟──────❥
*✿●•· 8- Aurto’n ko Chahiye k Azaan ka Jawab de, Hadees Sharif me he k Jo Shakhs Mozzin ka jawab Dil ke Yaqeen ke saath de to uske liye Jannat Waajib ho jati he, ( Nasaa’i )*
╟──────❥
*✿●•· Lihaza Aurto’n ko Chahiye k Azaan ke waqt Baate na kare balki uska jawab de, Mozzin Jo kahe usi tarah kahe, Magar ” Hayya Alassalaah ” aur” Hayya Alal falaah ” ke jawab me ” La havla Wala Quwwata illa billahi ,” kahe , Azaan ka jawab Zaban se dena mustahab v Masnoon he ,Fir agar Shara’i uzr na ho to foran Namaz Kï taiyaari me lag Jana chahiye,*

╟──────❥
*╟❥ Next–96, Soon in Sha Allah ,*
┕━━━━━━━━━━━━━━━┑
https://T.me/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot