⚫☆⚫
▤━─━─━▓━﷽━▓━─━─━▤
*⊙ _ FAZA'IL E RAMZAN _ ⊙*
┗───┯ ✿ *posт ղo☞03*
⊙———⊙———⊙———⊙———⊙
*✿●•·Roze Ki Hikmat_*
*┱ Qur’an mai _ْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ Mai Roze Ki Hikmat ki taraf ishara farmaya gaya Hai, Taqwa Sagira v Kabira, Zaahiri aur Baatini Gunaaho se bachne Ka naam hai, Roze ki farziyat Taqwa haasil karne ke liye hai ,*
*┱_ Poore Mahe Ramzan Ke Roze rakhna Har Aaqil Baalig Musalman per Farz hai, Agar Koi Waaqa’i Ramzan ke Ahkaam v Adaab ki roshni mai Roza rakhe Jo Qur’an Hadees mai waarid hai’n ,to Ek Mahina khana Pina aur Jinsi Talluqaat ke muqtaza per Amal karne se agar ruke rahe to Baatin ke andar Nikhaar aur Nafs ka tazkiya aur Nafs ke andar sudhaar paida ho jata Hai ,*
*┱_ Ramzanul Mubarak ke Roze ke alawa Nifli Roze bhi mashroo kiye gaye hai’n Un Rozo Ka mustaqil sawab hai Jo Rivayat mai Mazkoor hai’n aur sawab ke alawa Nifli Rozo Ka ye faayda hai k Ramzanul Mubarak ke Roze Rakhte Waqt Jo Amali Kotaahiya’n ho Jaye Unki talafi ho jati hai ,*
*┱ _Jo Gunaah insaan se sarzad ho Jate hai’n Unme Sabse Zyada do cheeze gunaah Ka baa’is banti hai’n ,Ek moonh aur Doosri Sharmgaah , Chunache Imaam Tirmizi ne Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Naqal Kiya hai k – Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam se daryaft Kiya gaya k Sabse Zyada Konsi Cheez Dozakh mai dakhil karane Ka zariya banegi, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jawab diya– moonh aur Sharmgaah ,”*
*“_in dono ko dozakh mai dakhil karane mai zyada dakhal hai, Roze se Moonh aur Sharmgaah dono per pabandi hoti Hai aur Mazkoora dono cheezo se Jo gunaah ho sakte hai’n Roza unse Baaz Rakhne Ka Bahut bada zariya hai, isiliye to ek Bukhari v Muslim mai farmaya – Roza Dhaal hai ( gunaah se aur Aatishe Dozakh se bhi bachata hai ) ( Bukhari v Muslim )*
•═══▦☆☆▦═══•
*Ref-📕 TOHFA E KHAWATEEN_,* ┏─═┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄✪
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post Top Ad
Your Ad Spot
Friday, March 31, 2023
FAZA'IL E RAMZAN posт ղo☞03
Tags
# FAZA'IL E RAMZAN
FAZA'IL E RAMZAN
Tags:
FAZA'IL E RAMZAN
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot