MUNKIRAAT E RAMZAN - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Friday, March 31, 2023

MUNKIRAAT E RAMZAN


╭•═════•✭﷽✭•════•╮
* MUNKIRAAT E   RAMZAN*
   ▦══─────────────══▦
*☞-  Aam tor per Kuchh buraiya’n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: —-*
*✾_ 1- Kasrat se Sona,*
⇒ Ramzan me itna sote he’n k saal bhar itna nahi sote, Ye gaflat ki alaamat he, esa nahi hona chahiye,
*✾_ 2- Kasrat se Khana,*
⇒ Sahar aur Aftaar me hamesha aitdaal se kaam Lena chahiye, Jab Aadmi zyada khata he to shahwaniyat ubharti he aur fir gunaho me mubtila hota he,
●◆ Lihaza Roze ke maqsad ko samajhte hue khane me qadre ahatyaat karna chahiye,  Kyuki Roze ka maqsad nafs ko kamzor karke gunaho se bachana he,
──────────────────❥
*✾ 3- Raat me jaagna, Khel kood me Waqt barbaad karna,*
⇒ Aksar nojawan raat me mehfile bithate he’n, Cricket, Volibaal, Caramboard  vagera khelna ya Raat der tak tafreeh karna, Hotlo, Choraho per bethna,
● ye sab umoor khilafe shara he’n, inse bilkul ahatyaat zaruri he,
*✾ 4- Logo ke saamne apne Roze me shiddate bhook ya pyaas ka mujahra karna,*
⇒ Baaz log apne Roze me shiddate bhook ya pyaas ka mujahra karte he’n aur kehte he’n k bhook lagi he, Pyaas lagi he vagera,
● Ye bhi galat he, Ramzan Sabr ka mahina he, lihaza sabr karna chahiye,              
╨─────────────────────❥
*✾ 5- Fizuliyaat aur T V,*
⇒  Fizuliyaat ( Mosiqi ki cheeze )  aur T V se bilkul bachna chahiye, balki T V ko ghar se bahar kar dena chahiye kyuki T V Deen ke liye TB he,
*✾  6- Taraveeh se Ji churana,*
⇒ Taraveeh se Ji churana ya is tarah padhna k jab imaam ruku me jaye tab shamil hona, Tab tak bethe rehana ya baate karte rehna Jo kai gunaho ka sabab he,
●◆ Masjid me baat karne ka gunah, logo ko takleef pahunchane ka gunah, logo ki Namaz se khushu v khuzu ke chale Jane ka sabab banne ka gunah aur Ramzan jese afzal maah ki be-hurmati ka gunah,
●◆ Lihaza nafs se majahida karke mukammal taraveeh Ada kare,               
╨─────────────────────❥
*✾ 7- Kamsin Bachcho se Roza rakhwana,*
⇒  Baaz log kamsin Bachcho se Roza rakhwate he’n, Photo khichwate he’n aur akhbaraat me chhapwate he’n, inme do badi khatabiya he’n,
1- Tasveer ( Photo) khichwana,
2- Bachcho ke zahan me nav umr ( Bachpan ) se hi riyakaari, dikhawa ke beej bo dena,
Ibaadat me ikhlaas zaruri he, isliye is galat Rasmiyat se parhez kiya jaye,
*✾ 8- Aurto’n ka Taraveeh na padhna,*
⇒ Bahut si Aurte’n taraveeh ki Namaz nahi padhti he’n aur isko sirf Mardo ka kaam samajhti he’n,
●◆ Halanki Namaze Taraveeh Baalig Mard, Aurat sabke liye Sunnate Mokada he,               
╨─────────────────────❥
*✾ 9 – Dawat e Aftaar ka Rivaaj,*
⇒ Dawate aftaar ab ye ibaadat ki shakl chhodkar rivaaj aur fashion ki shakl akhtyar kiye ja raha he,
✾_  Dawat e Aftaar bahut achchha kaam he lekin iske saath kuchh kharji kharabiya’n esi shamil ho gayi he’n k Riyakaari, Dikhawapan,fizool kharchi ki Vajah se ye ibaadat dawate rehmani se mehroomi ka sabab saabit ho rahi he, Aftaar ibaadat  Aftaar Parti hoti ja rahi he,
⇒ Jama’at chhot rahi he, kam se kam masjid ki jama’at to aftaar ki nazar ho hi jati he,
●◆ Aftaar ke waqt Duao’n ka ahatmam nahi hota, Gairo ki shirkat hone lagi, Bepardgi, Besharmi  aur digar kharabiyo ki vajah se Allah maaf kare baaz Dawate to shirkat ke laayaq bhi nahi hoti he’n,              
╨─────────────────────❥
*✾  10- Khatme Taraveeh ke Din Masajido me decorations,*
⇒ Khatme Taraveeh ke din masjido me decoration, Sajawat me fizool kharchi aur digar gair zaruri intezamaat me waqt ki barbadi ke saath saath muntazeem ki taraveeh tak tark ho jati he aur ibaadat ki taraf se aamtor per tavajjah hatkar israaf me lag jati he,
Isliye is fizool ligting, Decorations, Sajawat vagera se bachna bhi behad zaruri he,
*✾ 11- Takseem e Mithayi aur Hadiya,*
⇒ Khatme Taraveeh ke din takseeme Mithai aur Huffaaz kiraam ko Hadiya dene ke liye Jo aam chande ki soorat akhtyar ki jati he’n inme bahut saari kharabiya’n he,


●◆  Kitne hi log Jabran naami ke khof se dete he’n, kitne hi log jinke paas maali intezam nahi hota lekin apni izzat rakhne ki khatir unhe apni aukaat se badkar hissa Lena padta he,               
╨─────────────────────❥
*✾ 12- Ujrat per Taraveeh vagerah,*
⇒  Allah ta’ala se sharm o haya ka taqaza ye bhi he k Aadmi kisi bhi deeni ibaadat ko duniya ke haasil karne ke liye maqsood na banaye, aur mamooli duniyavi nafa ke lalach me akhirat ka nafa qurban na kare,
✾  Aajkal Ramzanul Mubarak me Taraveeh sunane ke badle badi aamdani ka ruhjaan bhi badta chala ja raha he, isliye bade bade shehro me achchhi achchhi jagah talaash ki jati he,
⇒ Qurane kareem esi cheez nahi he k use chand kodiyo ke badle farokht kar diya jaye, Mahaz Quran ki tilawat per ujrat muqarrar karna Qurane kareem ki khuli hui toheen aur na-qadri he, Aur is silsile me Jo farzi tavilaat aur heele apnaye jate he’n wo bhi naqabile tavajjoh he, isliye k hakimul ummat Hazrat Thanvi Rh ne likha he k dayanaat me heelo ka akhtyar karna waqai hillat ke liye mufeed nahi he, ( imdadul fatawa, 1/485)
✾  Bahut se log huffaz ki Mali pareshani ka zikr karte he’n k khatm per uski madad ho jati he, To sawal ye he k wo pehle se gareeb tha ya taraveeh me Quran khatm karte hi gareeb ho gaya,?
⇒  Agar pehle hi se pareshan tha to uski madad pehle kyu nahi ki gayi, Gareeb ki madad karna mana nahi he, mana to ye he k usko Quran ki ujrat khilayi jaye,
✾  Baaz log ye bahana dhoondte he’n k agar ujrat na di gayi to masajid me khatme Quran ka rivaaj khatm ho jayega, halanki Qurane kareem esa sharai waajib ya laazim nahi he k uske liye ek na-ja’iz maamle ka irtkaab kiya jaye,
⇒ Fir ye daava bhi galat he k isse khatme Quran ka silsila band ho jayega, isliye k ummat me Alhamdulillah ese huffaz ki kami nahi he Jo khud apne Quran ki hifazat ke liye masajid talaash karne ke fikr mand na rehte ho,
●◆ Agar dene dilane ka rivaaj khatm ho jaye to khud ba khud huffaz ke dil se tama’a aur laalach ka khatma ho jayega,
⇨ isliye Shami me naqal kiya gaya he k ujrat per tilawat ke zariye iysaale sawab karane per ujrat lene wala aur dene wale dono gunahgar he,
®( Shami Zakariya, 9/77)
⇨Kyuki dene wale ke iraade se hi lene wale ko hosla milta he, agar is maamle me dene wale shariyat per amal karte hue dene se mana kar de to lene walo ko mutaalba karne ka hosla ho hi nahi sakta,               
*↳® Allah se Sharm kijiye, 143,*
╨───────────────────
*☞-  Agar Mukhlis haafiz na mile, ( Yani bager ujrat taraveeh padhane wala hafiz na mile)???*
✾  Bilfarz agar kisi jagah bila ujrat padhne wala mukhlis haafiz na mile to fatwa ye he k waha ke logo ko kirayedaar haafiz se poora Quran sunne ke bajaye ” Alam Tara Kaif …” se taraveeh padh leni chahiye,
✾ _ Hakimul Ummat Hazrat Thanvi Reh.tehreer Farmate Hai'n:-  Jaha fuqha ne ek khatm ko sunnat kaha he jisse zaahiran sunnate Mokada muraad he, waha ye bhi likha he k Jaha ke logo per saqeel ( Bojh ) ho waha " Alam Tara kayf "  se padh de,  Pas jab saqeele jama’at ke mahzoor se bachne ke liye is sunnat ke tark ki ijazat de di to ibaadat per ujrat ka mahzoor isse badh kar he, isse bachne ke liye kyu na kaha jayega k ” Alam Tara Kayf ” se padh le,
*®Imdadul fatawa, 1/484,*               
* Allah se Sharam kijiye, 144,*
╨─────────────────────❥
*⇨13  Bachcho ko Pehla Roza Rakhwane me hone wali Rasmiyat,*
★ Hamari taraf ye rivaaz he k jab bachche ko pehla roza rakhwate he to aftaar ke waqt uske gale me haar daalte hai, khana paka kar dost, ahbaab, rishtedaro ko khilate hai, wo badle me bachhe ko ropya – paisa ( gift) dete hai, Khana masjid me bhi aftaar ke liye bhijwate hai,
Kya ese khane ka saboot kisi hadees se sabit he ya nahi??
aur kya ye tareeka jaa’iz he ya nahi???
⇨is Rasm ka shariyat me koi saboot nahi, isko sawab samajh kar karna deen me apni taraf se zyadti karne ki vajah se Bid’at aur najaa’iz he,


→balki sawab na samjhate to bhi iska tark laaZim he kyuki ye esi Rasm ban chuki he k jiski qabaht ahle ilm per jaahir he,               
*↳® Ahsanul fatawa , 1/370,*
╨─────────────────────❥
✾ 14- Aamtor per Masjido me aitkaaf ke liye koi nahi bethta, Jabki Aakhri ashre ka aitkaaf Sunnate Mokada Alal Kifaya he,
⇒  Baaz log bojh utaarne ke liye mazoor qism ke logo ko roti, kapde, paise vagera ka lalach dekar aitkaaf me bitha dete he’n,
✾  15- Baaz Hazraat balki ab to aksar logo ka haal ye he k Ramzan me isliye neki ( na roza, na namaz, na zakaat vagera ) ki himmat nahi karte k Ramzan ke baad kaha’n ye sab hoga?  Ya ye k sudhar jaenge vagera,
⇒ Ye sab Shaitani vasavis he”n, Ramzan to khoob ibaadat se guzaare, Fir saal bhar itna sab kuchh na kare magar itna zarur kare k Faraiz, Sunnat, tilawat, Silah rahmi, haraam se doori aur Dawat Tablig me lagne ka ahatmam saal bhar hona chahiye,
●◆ Allah hamari madad farmaye, aur Hume ikhlaas aur Himmat ke saath tamaam mamulaat per amal ki tofeeq ata farmaye aur Allah humse raazi ho jaye, *(Aameen Ya Rabbul Aalameen)*
*● Alhamdulillah Mukamnal hue ●*
*↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 30,*                        
╨─────────────────────❥                      
     .        ═══─┉●┉─═══
        ║   *Talibe Dua_
* ╚═════════════┅┄ ✭✭  

*ʀєαd, ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd ,*
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial ╨─────────────────────❥

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot