Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail SAWAAL NO.18 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Friday, March 31, 2023

Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail SAWAAL NO.18

رمضان المبارک کے مسائل
▬▭▭▭▭▭▭▭▭▭▬

ﺴــــــــــــــوال نمبر:۔ ۱۸

رمضان میں حیض اور نفاس والی عورت کس طرح عبادت کرے ؟

▫️▪️▫️▪️▫️▪️▫️▪️️
جواب

حیض اور نفاس والی عورت قرآن مجید کی تلاوت کے علاوہ ذکرواذکار کرنا چاہے تو بالکل کرسکتی ہے جائز ہے،مثلاً درود پاک،استغفار،کلمہ طیبہ،یا کوئی اوروظیفہ پڑھنا جائز ہے۔
فتاویٰ تاتارخانیہ میں ہے کہ حائضہ عورت کے لیے مستحب ہے کہ نماز کے وقت وضو کرکے جتنی دیر نماز پڑھنے میں لگتی ہے، اتنی دیر مصلیٰ بچھا کر بیٹھ کر ذکر و دعا کرتی رہے، تاکہ عام اوقات میں جو وقت عبادت میں لگتا تھا وہ ضائع بھی نہ ہو اور عبادت کی عادت بھی باقی رہے۔

(مستفاد: دارالافتاء بنوری)

فقط واللہ سبحانہ وتعالیٰ اعلم

مفتی محمد بلال یوسف شیخ باندرہ ممبئی
----------------------------------------- ️
Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail
▬▭▭▭▭▭▭▭▭▭▬

SAWAAL NO. 18

Ramazaan Mein Haiz Aur Nifaas Waali Aurat Kis Tarah Ibaadat Kare?

▫️▪️▫️▪️▫️▪️▫️▪️

JAWAAB :

Haiz Aur Nifaas Waali Aurat Qur’aan Majeed Ki Tilaawat Ke Alaawah Zikr O Azkaar Karna Chaahe To Bilkul Kar Sakti Hai, Masalan: Darood Shareef, Isteghfaar, Kalmia E Tayyibah, Yaa Koi Aur Wazeefah Padhna Jaaiz Hai.
Fataawa Taataarkhaaniyah Mein Hai Ke Haiz Waali Aurat Ke Liye Musta’hab Hai Ke Namaaz Ke Waqt Wuzu Kar Ke Jitni Der Namaaz Mein Lagti Hai, Utni Der Musalla Bicha Kar Baith Kar Zikr O Du’aa Karti Rahe, Taake Aam Auqaat Mein Jo Waqt Ibaadat Mein Lagta Tha Woh Zaaye Bhi Na Ho Aur Ibaadat Ki Aadat Bhi Rahe.

(Mustafaad: Darul Ifta Binnori)

Faqat Wallahu Subhaanahu Wa Ta'ala A'lam

Mufti Muhammad Bilal Yusuf Shaikh Bandra Mumbai
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot