⚫☆⚫
▤━─━─━▓━﷽━▓━─━─━▤
*⊙ _ FAZA'IL E RAMZAN _ ⊙*
┗───┯ ✿ *posт ղo☞06*
⊙———⊙———⊙———⊙———⊙
*✿●•· Roze Ki Fazilat__*
*┱ _ Ek Roza rakh lene per Khuda e Paak ki taraf se Kya in’aam milta hai,iske bare mai Sayyadul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-*
*“__ Jo Shakhs Allah ki khushnudi ke liye ek din Roza rakhe Allah Ta’ala usko Aatishe Dozakh se itni door Kar denge Jitni door koi Shakhs Sattar ( 70 ) Saal Tak chal kar Pahunche _,”*
*🗂 Bukhari v Muslim_,*
*┱_ Aur Khaas Ramzan ke Roze ke bare mai irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai k –*
*“__ Shar’an Jise Roza chhodne ki ijazat na ho aur Aajiz karne Wala marz bhi lahiq na ho usne agar Ramzan Ka ek Roza Chhod Diya to Umar bhar Roze rakhne se bhi us ek Roze ki talaafi na hogi Agarche ( bator qaza ) Umar bhar Roze bhi rakh le _,”*
*🗂 Ravaah Ahmad v Tirmizi v Abu Daowd v ibne Maaja v Daarmi, Mishkaat _,*
*┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Roze ke bare mai ye bhi irshad farmaya k :-*
*“__ insaan Ke har Amal Ka Ajr ( Kam az Kam ) das guna badha Diya Jata Hai ( Lekin ) Roze ke bare mai Allah Ta’ala Ka irshad Hai k Roza us qanoon se mustasna hai Kyunki wo Khaas mere liye hai aur Mai’n hi uski jaza dunga Banda Meri vajah se Apni khwahisho ko aur Khaane pine ko Chhod deta Hai _,”*
*🗂 Bukhari v Muslim,*
•═══▦☆☆▦═══•
*Ref-📕 TOHFA E KHAWATEEN_,* ┏─═┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄✪ https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post Top Ad
Your Ad Spot
الاثنين، 3 أبريل 2023
FAZA'IL E RAMZAN posт ղo☞06
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot