Zakaat Ke MasaiL Post No-22 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الاثنين، 3 أبريل 2023

Zakaat Ke MasaiL Post No-22

*🏵﷽ 🏵*

│ ✦ *Zakaat Ke MasaiL* ✦ ┗─────────────🏵
│ *✷Post No-22✷*             ┗─────────💸
  *✺ Zakaat Ada karne Ka Tareeqa ✺*
       ✯—————————————✯
*★_Zakaat dete waqt zakaat ki niyat zaroori he Jo cheez zakaat ki niyat se na di jaye usse zakaat Ada nahi hogi,*

*★_Behtar he k zakaat ki niyat karke kuchh raqam alag rakh li jaye or fir us me se waqtan fa waqtan,thodi thodi dete rahe to zakaat Ada ho jayegi,*

*★_Ekmusht Zakaat Ada ho jati he, magar kisi ko ekmusht itni zakaat de dena k wo Sahibe nisab ho jaye makrooh he,*

*★_ Zakaat dete waqt ye batana zaroori nahi k ye zakaat he, Hadiya ya Tohfa ke unwaan se Ada ki jaye aur Ada karte waqt niyat zakaat ki kar li jaye to zakaat Ada ho jayegi,*

*★_Agar doosra aadmi, sahibe maal ke hukm ya ijazat se uski taraf se zakaat Ada kar de to zakaat Ada ho jayegi varna nahi,*

*★ _Riyakari aur numaish ki garaj se zakaat ki tashheer jaa’iz nahi, balke isse sawaab batil ho jata he,*

*★_ Peshgi ( advance) zakaat Ada karna bhi sahi he, zakaat Ada ho jayegi,*

*★_ Agar koi shakhs gaflat aur kotahi ki vajah se farayaz ko chhodta he to farayaz maaf nahi honge,*
*⇨balki hisaab karke zakaat jitne saalo ki zimme he waqtan fa waqtan thodi thodi Ada karte rahe yaha tak k zakaat poori ho jaye,*

*★_ Dukan me jitna maaliyat ka samaan he, uski qeemat laga kar, Jo Qarz agar zimme ho usko ghata kar Jo raqam bache uska 40 va hissa zakaat Ada kar de,*
 
*★_Zakaat ki raqam ka jab tak kisi miskeen fakeer ya mustahiq ko maalik nahi bana diya jayega zakaat Ada nahi hogi,*

*★_Raddi aur na bikne wali cheez ka zakaat me dena ikhlaas ke khilaf he,*

*★_Qarz di hui raqam me zakaat ki niyat karne se zakaat Ada nahi hogi,*
*⇨kyuki qarz dete waqt zakaat ki niyat nahi hoti he,, aur zakaat Ada karte waqt niyat karna shart he,,ese hi mulazim ( servant) ko advance di hui raqam ki zakaat ki niyat karna durust nahi,*

*★_Zakaat ki raqam se mulazim (servant) ko tankhwah ( salary) dena jaa’iz nahi, imdaad ke liye zarurat ya mohtaaj samajhkar tankhwah ke alawa zakaat de di jaye to zakaat Ada ho jayegi,*

*★_Zakaat ki raqam ko masjid me lagana jaa’iz nahi,*

*★_Aurat ke paas Rupya Paisa na ho to zever bechkar zakaat Ada kare,*

*★_Agar Naqdi Rupya Paisa na ho to Saabka aur Aainda saalo ki zakaat me zever de sakte hai,*

*★_ income tax Ada karne se zakaat Ada nahi hoti,*
*⇨ income tax mulki zaruriyat ke liye government ki taraf se muqarrar hota he, jabki zakaat ek musalman ke liye fariza e khudavandi aur ibadat he, income tax Ada karne se zakaat Ada nahi hoti, balki zakaat ka alag Ada karna zaroori he,*

*↳® Aapke Masail aur unka Hal,3/382*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
❂❂❂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot