⚫☆⚫
▤━─━─━▓━﷽━▓━─━─━▤
*⊙ _ FAZA'IL E RAMZAN _ ⊙*
┗───┯ ✿ *posт ղo☞15*
⊙———⊙———⊙———⊙———⊙
✿●•· *Sahri Khaana _*
*┱ _ Farmaya Nabi Mukarram Sallallahu Alaihivasallam ne k Sehri Khaya Karo , Kyunki Sehri mai Barkat hai _,”* *( Bukhari v Muslim An Anas )*
*┱_ Aur ye bhi farmaya k hamare aur Ahle Kitaab ke Rozo mai Sehri Khane Ka Farq hai _,” ( Muslim An Amro bin Aas Raz.)*
*┱_ Aur Ek Hadees mai Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Sehri Khane walo per Khuda aur Uske Farishte Rehmat bhejte hai’n _,” ( Tabrani An ibne Umar Raz.)*
*┱✿ Roze mai Bhool kar Khaa Pi Lena _,*
*┱ _ Farmaya Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne k Jo Shakhs Roze mai Bhool Kar Khaa Pi le to Wo Roza poora Kar le , Kyunki ( uska qusoor nahi ) use Allah ne khilaya aur Pilaya _,”* *( Bukhari v Muslim An Abi Huraira Raz. )*
*┱✿ Aftaar mai Jaldi Karna _,*
*┱ _ Farmaya Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne k – log Hamesha khayr per rahenge Jab Tak Aftaar mai Jaldi karte rahenge Yani guroob aftaab Hote hi foran Roza khol liya Kare _,” ( Bukhari v Muslim An Sahal Raz.)*
*“┱_Aur farmaya Rehmate Kaaynaat Sallallahu Alaihivasallam ne k Allah Ta’ala farmate hai’n k Bando mai mujhe Sabse Zyada pyaara Wo hai Jo Aftaar mai Sabse Zyada Jaldi karne wala hai , Yani guroob aftaab Hote hi foran aftaar karta Hai aur use isme Jaldi Ka khoob ahatmaam rehta Hai _,” ( Tirmizi an Abi Huraira Raz. )*
*┱_ Aur Farmaya Sayyadul Konain Sallallahu Alaihivasallam ne k Jab idhar se ( Yani Mashrik se ) Raat aa gayi aur udhar se ( Yani Magrib se ) din Chala gaya to Roza aftaar karne Ka Waqt ho gaya ( aage intezar Karna fizool hai balki makrooh hai ), ( Muslim An Amro bin Aas Raz. )*
•═══▦☆☆▦═══•
*Ref-📕 TOHFA E KHAWATEEN_,* ┏─═┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄✪
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post Top Ad
Your Ad Spot
Saturday, April 8, 2023
FAZA'IL E RAMZAN posт ղo☞15
Tags
# FAZA'IL E RAMZAN
FAZA'IL E RAMZAN
Tags:
FAZA'IL E RAMZAN
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot