⚫☆⚫
▤━─━─━▓━﷽━▓━─━─━▤
*⊙ _ FAZA'IL E RAMZAN _ ⊙*
┗───┯ ✿ *posт ղo☞16*
⊙———⊙———⊙———⊙———⊙
✿●•· *Khajoor aur Paani Se Aftaar_*
*┱ _ Farmaya Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne k jab tum Roza kholne Lago to Khajooro se aftaar Karo , Kyunki Khajoor sarapa Barkat hai , Agar Khajoor na mile to Paani se Roza khol lo , Kyunki wo ( zaahir v Baatin ko ) Paak karne Wala hai _,”* *( Tirmizi an Salman bin Aamir Raz.)*
*┱✿ Roza Jism Ki Zakkat Hai _,*
*┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya Khatimul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne k har Cheez ki Zakaat hoti Hai aur Jism ki Zakaat Roza hai _,”* *( ibne Maaja an Abi Huraira Raz. )*
*┱✿ Sardi mai Roza _,”*
*┱_ Hazrat Aamir Bin Masoud Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne k Mausam Sarma mai Roza rakhna muft Ka Sawab hai, ( Tirmizi )* *"_Muft Ka sawab isliye farmaya k isme Pyaas nahi lagti aur Din bhi Chhota hota Hai ,*
✿●•· *Janabat Roze ke Manafi nahi_*
*┱ _ Farmaya Ayesha Raziyallahu Anha ne k Ramzanul Mubarak mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko ba Haalate Janabat Subeh ho jati thi aur Ye Janabat Ahatlaam ki nahi ( balki Biviyo’n ke Saath mubashrat karne ki vajah se hoti thi ) Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam Gusl farma Kar Roza rakhte they _,” *( Bukhari v Muslim )*
*“__ Matlab ye hai k Subeh Saadiq se pehle Gusl nahi farmaya aur Roze ki Niyat kar li ,fir Tulu Aftaab se pehle Gusl farma Kar Namaz padh li , is tarah Roze Ka kuchh hissa Haalate Janabat mai guzra , isliye k Roza bilkul ibtida e Subeh saadiq se Shuru ho jata Hai , isi tarah agar Roze mai Ahatlaam ho Jaye to bhi Roza faasid nahi hota Kyunki Janabat Roza ke munafi nahi hai ,*
*┱✿ Roze mai Miswaak Karna _*
*┱ _ Farmaya Hazrat Aamir Bin Rabi’a Raziyallahu Anhu ne k Maine Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam ko ba Haalate Roza itni baar Miswaak karte hue dekha hai k Jiska mai Shumaar nahi Kar Sakta _,” *( Tirmizi )*
*┱_ Miswaak tar ho ya khushk Roze mai har Waqt Kar sakte hai’n , Albatta Manjan ,Tooth Powder, Toothpaste ya Koyla vagera se Roze mai Daant Saaf Karna makrooh hai,*
*┱✿ Roze mai Surma Lagana _,”*
*┱_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Ek Shakhs ne arz Kiya Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Meri Aankh mai Takleef hai, Kya Mai’n Roze mai Surma laga Lu ? Farmaya – Laga lo _,” *( Tirmizi )*
•═══▦☆☆▦═══•
*Ref-📕 TOHFA E KHAWATEEN_,* ┏─═┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄✪
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post Top Ad
Your Ad Spot
Saturday, April 8, 2023
FAZA'IL E RAMZAN posт ղo☞16
Tags
# FAZA'IL E RAMZAN
FAZA'IL E RAMZAN
Tags:
FAZA'IL E RAMZAN
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot