Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail SAWAAL NO. 3 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Saturday, April 1, 2023

Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail SAWAAL NO. 3

تراویح  کے مسائل
▬▭▭▭▭▭▭▭▭▭▬

ﺴــــــــــــــوال نمبر:۳

نا بالغ کا تراویح میں امامت کرنا کیسا ہے؟

▫️▪️▫️▪️▫️▪️▫️▪️️
جواب

جس طرح فرض نمازوں میں بالغ مقتدیوں کی امامت کے لیے امام کا بالغ ہونا ضروری ہے، ایسے ہی تراویح میں امامت کے لیےبھی امام کا بالغ ہونا ضروری ہے۔
اور بالغ ہو نے کا مدار بلوغت کی علامات پر ہے، اگر علامات (احتلام،انزال وغیرہ) ظاہر ہوجائیں تو  وہ امامت کرسکتاہے، علامات ظاہر نہ ہوں تو  قمری اعتبار سے پندرہ سال کا لڑکا بالغ شمار ہوگا، اور اس کی امامت درست ہوگی،  اور علامات ظاہر نہ ہونے کی صورت میں  پندرہ سال سے کم عمر کا لڑکا نابالغ شمار ہوگا، اور اس کی امامت  بالغ مقتدیوں کے لیے درست نہیں ہوگی۔
ہاں نابالغ بچہ تراویح پڑھائے اور اس کے پیچھے نابالغ بچے ہی تراویح ادا کریں تو درست ہے۔

(فتاوی  دارالافتاء بنوری)

فقط واللہ سبحانہ وتعالیٰ اعلم

مفتی محمد بلال یوسف شیخ باندرہ ممبئی
----------------------------------------- ️
Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail
▬▭▭▭▭▭▭▭▭▭▬

SAWAAL NO. 3

Naa Baaligh Ka Taraaweeh Mein Imaamat Karna Kaisa Hai?

▫️▪️▫️▪️▫️▪️▫️▪️

JAWAAB :
Jis Tarah Farz Namaazon Mein Baaligh Muqtadiyon Ki Imaamat Ke Liye Imaam Ka Baaligh Hona Zaroori Hai, Aise Hi Taraaweeh Mein Imaamat Ke Liye Bhi Imaam Ka Baaligh Hona Zaroori Hai.
Aur Baaligh Hone Ka Madaar Bulooghat Ki Alaamaat Par Hai, Agar Alaamaat (Ehtelaam [Night Fall], Inzaal Waghairah) Zaahir Ho Jaayen To Woh Imaamat Kar Sakta Hai, Alaamaat Zaahir Naa Hon To Qamari (Chaand ) Ke Eytebaar Se 15 Saal Ka Ladka Baaligh Shumaar Hoga, Aur Us Ki Imaamat Durust Hogi, Aur Alaamaat Zaahir Na Hone Ki Sooart Mein 15 Saal Se Kam Umr Ka Ladka Naa Baaligh Shumaar Hoga, Aur Us Ki Imaamat Baaligh Muqtadiyon Ke Liye Durust Nahin Hogi.
Haa Naa Baaligh Bachchah Taraaweeh Padhaaye Aur Us Ke Piche Naa Baaligh Bachche Hi Taraaweeh Adaa Karen To Durust Hai.

(Fataawa Binnori)

Faqat Wallahu Subhaanahu Wa Ta'ala A'lam

Mufti Muhammad Bilal Yusuf Shaikh Bandra Mumbai
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot