*رمضان المبارک کے مسائل*
▬▭▭▭▭▭▭▭▭▭▬
*ﺴــــــــــــــوال نمبر:۔* ۱۹
عوام میں مشہور عربی نیت کا حکم کیا ہے؟
▫️▪️▫️▪️▫️▪️▫️▪️️
*جواب*
آج کل عوام میں نیت کے یہ الفاظ مشہور ہیں؛
"وَبِصَوْمِ غَدٍ نَوَیْتُ مِنْ شَھرِ رَمَضَانَ"
حتی کہ بعض لوگ اس کو سحری کی دعا سمجھتے ہیں بلکہ کیلینڈر ، رمضان کارڈ اور دوسری چیزوں کے ذریعے اس کی اشاعت(پھیلانے) کا اہتمام بھی کرتے ہیں۔
یاد رہے کہ یہ سحری کی دعا تو ہرگز نہیں ، البتہ ان الفاظ کے ساتھ نیت کرنا درست تو ہے لیکن یہ الفاظ قرآن وسنت سے ثابت نہیں، اس لیے ان الفاظ کو سنت یا ضروری نہ سمجھا جائے۔
اسی طرح اس کی اشاعت کا اس قدر اہتمام بھی ایک بے بنیاد بات ہے، اس سے بڑی غلط فہمیاں پیدا ہوتی ہیں، لوگ صحیح مسٔلے سے ناواقف رہتے ہیں۔
(مستفاد :تحفہ ماہ رمضان المبارک، ص: ٦)
فقط واللہ سبحانہ وتعالیٰ اعلم
مفتی محمد بلال یوسف شیخ باندرہ ممبئی
----------------------------------------- ️
*Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail*
▬▭▭▭▭▭▭▭▭▭▬
*SAWAAL NO.* 19
Awaam Mein Mash'hoor Arbi Niy'yat Ka Hukm?
▫️▪️▫️▪️▫️▪️▫️▪️
*JAWAAB :*
Aaj Kal Awam Mein Niyyat Ke Yeh Alfaaz Mash'hoor Hain;
""وَبِصَوْمِ غَدٍ نَوَیْتُ مِنْ شَھرِ رَمَضَانَ
Hattaa Ke Ba'az Log Is Ko Sehri Ki Duaa Samajhte Hain, Balke Calendar, Ramazaan Card Aur Dusri Cheezoon Ke Zariye Is Ki Isha'at (Fhailaane) Ka Ahtimaam Bhi Karte Hain.
Yaad Rahe Ki Yeh Sehri Ki Duaa To Hargiz Nahin, Albattah In Alfaaz Ke Saath Niyyat Karna Durust To Hai Lekin Yeh Alfaaz Quraan O Hadees Se Saabit Nahin, Is Liye In Alfaaz Ko Sunnat Yaa Zarooi Na Samjha Jaaye.
Isi Tarah Is Ki Isha'at (Phailaane) Ka Is Qadar Ahtimaam Bhi Ek Be'buniyaad Baat Hai, Is Se Badi Galat Fehmiyaan Paida Hoti Hain, Log Saheeh Ma'sale Se Na Waaqif Rehte Hain.
(Mustafaad: Tohfa E Maahe Ramazaan Ul Mubaarak :6)
Faqat Wallahu Subhaanahu Wa Ta'ala A'lam
Mufti Muhammad Bilal Yusuf Shaikh Bandra Mumbai
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
Post Top Ad
Your Ad Spot
Saturday, April 1, 2023
Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail SAWAAL NO. 19
Tags
# Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail
Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot