𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Friday, February 5, 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

AURAT KE ZIMME GHAR KE KAAM AUR SHOHAR KI KHIDMAT

AAJ KA SAWAL No.2370

aaj kal aam taur per ye shikayate aksar gharon mein Pai jaati Hain jiska Ekhtitaam (aakhir) talaq per hota hai
Is mauzu par tasalli baksh mudallal jawab inayat kar ke shukriya ka mauqa den
Nikah ke bad sohar ke zimme biwi ki tamam zaruriyaat naan-nafqa ko Pura karna zaruri hai aur vo ba-khubi apni zimme-dari ko Puri karta hai,
isi tarah kya biwi ke zimme bhi shohar ke liye khana pakana kapde dhona kapdon per press karna chai, coffee pilana vagaira shar"an, akhlaqan zaruri hai?
Jab ke biwi Ka yah kehna hai hamare zimme aap Ka bhi kaam karna Shar"an nahi hai.

*JAWAB*

حامدا و مصلیا مسلما

Izdiwaji zindagi pur sukun aor khush gawaar honay kay liye zarooree hay ke miyan bivi aek dusray ke huqooq ada kren،
rishtah qaaidon aor zabton kay bajaye raabton se nibhaye jaye to ye rishta kaamyab rehta hay ،zabtah ke aetibar se jahan bahut sari zimmedariyan bivi par aaid nahi hoti wahin shohar bhi bahut sare muaamalat men bariuz zimmah ho jata hay.
jis tarah bivi ka ilaj dawa daru karna,use ghumane le jana wagairah mard par qaza'an (islami court ke fesle) ke mutabiq wajib nahi ،is silsile men us par jabardasti naheen kar sakte
Islam may mard aor aorat donon ko alag alag zimhdariyan aor huqooq ata kiye hen، albattah mard ko aurat par aek darjah fazeelat di hay، jis tarah mard par aurat ka nan o nafqah wagerah farz kiya hay، aisee tarab aorat par shohar ki farman bardare aor Raza joe'e bhi lazim ki hay، usee kay sath donon par husne muaasharat bhi lazim hay، us husne muaasharat ka taqaza hay ke Miya bivi apne kaam mil bant kar kiya kren، agarche aorat par ye sab kaam farz naheen hen، fir bhee us ka akhlaqee farizh to he jab shohar bahar ke kaam anjam day raha hay to woh ghar kay andar ke kaam kre allah kay rasool sallallahu alaihi wasallam nay bhee hazrat ali aor hazrat fatimah ke darmiyan aisee tarah kaamon ko taqseem farmaya tha ke ghar kay baahar kay kaam hazrat ali kay zimmeh aor androon ke kaam khana pakana، pani bharna saf safayee karna wagairah Hazrat fatimh kay zimme kiye thay un ki zindagi hamare liye behtarin namoonah hai.
lihza biwee ka akhlaqee fareezh hay aor us par diyanatan aur akhlaqan Wajib hay ke woh shohar kay kapde dhoye,use press kare,khana pakaye wagairah

likin is ka matlb yeh naheen hay ke sara kaam aorat kay zimmay dal kar us say nokrani ki tarah kaam liya jaye aor us ka bilkul taawon na kiya jaye balke is silsilay men allah kay rasooluallh sallallahu alayhi wasallam hamare liye bahtreen namoonh hen۔ aap ke bare me hazrat aaisha radeeallahu anha se puchha gaya ke ghar me kya karte the to farmaya ghar ke kaam karte the (bukhare shref: : 676)۔ aor yah bhee zarooree hay ke us men us ke khandani hesiyewt ka bhee lihaz kiya jaye، yanee agar woh apnay ghar men ghar kay kam khood kartee thee to usay susral men bhee inkaar naheen karna chahiye، aor agar us kay ghar men khadmaye'en wagherah theen aor woh gar kay kaam khood nahi kartee thee، to shohar ko bhee dabauٴ dal kar kaam naheen krana chahiye aor agar khushi se kare to us ko us ki taraf se aehsan samjhna chahiye
zindgee ke gadee pur sukoon aor khoshiyon kay sath tab hee aagay badhegee jab shohar qazae'e farai'z kay alawah akhlaqe farai'z ko bhi anjam day، balki aesee tarah aorat ko bhee izdiwaje zindgee pur aman aor pur sukoon bananay kay liye akhlaqe farai'z ka aehtmam karna hoga۔

SHAMI 5/290

DARUL IFTA DARUL ULOOM DEWBAND AUR JAMIA UMOOM UL ISLAMIYAH FATAWA BINORIA TAWOON
و الله اعلم بالصواب


* ISLAMI TAREEKH* :
12 JUMADIYUL UKHRA 1442 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

औरत के ज़िम्मे घर के काम और शोहर की ख़िदमत

आज का सवाल नंबर २३७०

आज कल आम तौर पर ये शिकायतें अक्सर घरों में पाई जाती हैं जिसका आखिर तलाक़ पर होता है।

इस मौज़ू पर तसल्ली बख़्श मुदल्लल जवाब इनायत कर शुक्रिया का मौक़ा दे।

निकाह के बाद शोहर के ज़िम्मे बीवी की तमाम ज़रुरियात नान-नफ़्क़ा को पूरा करना ज़रूरी है, और वो बा-खूबी अपनी ज़िम्मे-दारी को पूरी करता है।

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot