7.Kisi gunah ki wajah se ahle tawheed- allah ko ek mannewale musalman ko kafir na kahe.
NOTE:Matlab yeh hai ke 72 bahattar firqe sab ahle tawheed wa ahle qiblah hai lihaza un ki takfeer-kafir kehne ki himmat na kare jab tak ke kisi firqe ke mutalliq ye yaqeeni taur par sabit na ho jaye ke woh zarooriyate deen aur kisi aysi bat ka inkar karnewala hai jo khule taur par islam ki baat mani jati hai aur jab tak yeh sabit na ho jaye ke woh ahkame shariyyah ke tawatur (jo baat huzoor ke zamane se aaj tak lagatar sabit ho) unko manta ho un ko gair sabit aur gair yaqeenee nahi kehta hai us ko kafir na kahe.
fuqhaa ne farmaya agar 99 ninnanawe aehtimal -chances kufr ke hon aur ek aehtimal-baat ka matlab islam ka mavjood ho to us ek aehtimal ki wajah se kufr ka hukm na lagaya jaye.
(MAKTOOBATE IMAME RABBANI JILD 3 SAFA 70 MAKTOOB NO.38)
8.Ahle qiblah (qiblah ki taraf namaz padhnewala musalman) me se jo mare us ki namaze janazah na chhodta ho.
9.Safar wa hazar (maqam) me (chamde ke) mozon par masah karne ka qail ho (manta ho)
10.Har nek aur gunahgar ke pichhe namaz ko jaiz samjhta ho.
FATAWA RAHEEMIYA 2/56 KARANCHI
BA HAWALA
TAKMILAH E BAHRUR RAIQ JILD 8 SAFA 182 AWWALE KITABUL KARAHIYAT)
IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
Post Top Ad
Your Ad Spot
الثلاثاء، 2 فبراير 2021
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot

